Qaasid ke aate-aate khat ek aur likh rakhoon
Main jaanta hoon jo woh likhenge jawaab mein!!!
Kab se hoon, kya bataaun Jahaan-e-kharab mein
Shab haaye hijr ko bhi rakhoon gar hisaab mein!!!
Mujh tak kab unki bazm mein aata tha daur-e-jaam
Saaqi ne kuch mila na diya ho sharaab mein!!!
Taa phir na intezaar mein neend aaye umra bhar
aane ka ahad kar gaye, aaye jo khwaab mein!!!
Gaalib chuti sharaab par abh bhie kabhi kabhi
Peeta hoon roz-e-abr-o-shab-e-maahtaab mein!!!
Kab se hoon, kya bataaun Jahaan-e-kharab mein
Shab haaye hijr ko bhi rakhoon gar hisaab mein!!!
Qaasid = Messenger
Shab = Night
Hijr = Separation
Bazm = mehfil
Saaqi = Bar tender
Taa phir = So that
Ahad = Promise
Roz-e-abr = Cloudy Day
Shab-e-maahtab = Moon lit night
1 comments:
NICE WORK
Post a Comment